Tuesday, February 5, 2008

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega

ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega


By Parveen Shakir

6 comments:

Anonymous said...

WOW
SIDRA G KIYA PASAND HEE APP KEE.
DAAD DANE PARI GEE
ITS VERY GOOD POETRY.AND U ALSO A GOOD CHOSER.I LIKE UR POETRY

Unknown said...

nice posted sidra ,,,,,keep the gud work up ,,,,,,,,,,
nice poetry by perveen ,,,,,,,

Anonymous said...

aa.sidra muhubat aisia dariya hay
kay barish rootah bee jaye to paani kum nahie hota.right.

Anonymous said...

bohat hi achi hai bohat achi very nice parveen shakir ak achi shaira thi ALLAH TALLAH un ko janat main jagha dey ameen

Unknown said...

Parveen shakir was so sensitive about life, but life was so short for her, she wrote lovely in her short life which became her sign of feelings. your choice is good but phool pakistan hai ya khusboo pakistan hai

Anonymous said...

Hey Sidra,
V nice poetry...Muja poetry mein boht intrest ha or un logoun main b jo poety ko like krtey hain.I like it so much...Allah ap ko mazeed successful kray.AMIN

Somi