Sunday, February 3, 2008

Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain

Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain
Sab Jantay To Hain
Kah
Nahi Roak Saktay
Sooraj Ki Kirnon Ko Chamknay Say
Sumandar Ki Lahron Ko Chalaknay Say
Phoolon Ki Khusboo Ko Mahaknay Say
Chand Ki Chandni Ko Phailnay Say
Saawan K Baadal Ko Barasnay Say
Phir Bhi
Naakam Si Koshish Kartay Hain
Sayed Wo Apnay Dil Ko Jhoti Tasali Dete Hain
Kah
Muhabat Ko Roak Lain Gay

Sab Jantay To Hain
Kah
Muhabat Nahi Ruk Sakti
Zinda Jalanay Say
Pahray Laganay Say
Khanjer Chalanay Say
Deewaron Main Chunwanay Say
Dunia Say Mitanay Say
Haan Mager
Ruk Bhi Sakti Thi
Ager
Muhabat Kisi Say Ki Jati
Mager Ye To Bus….
Ho Jati Hai

Sab Jantay To Hain
Kah
Aaj Tak Un K Roaknay Say
Na Koi Ruka Tha
Na Koi Ruka Hai
Na Koi Rukay Ga
Phir Bhi
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain

Loog To Dartay Hain
Muhabat Karnay Waloon Say
Ager Nahi Dartay To
Chalo Aik Charat Lagatay Hain
Kah
Sab Mil K Muhabat Ko Roak Lo Gay
Tumhain Apni Taqat Pe Gharoor Hai
To Mujhay Bhi Apni Muhabat Pe Yakeen Hai
Main Janta Hon
Kah
Sab Mil Kar Bhi Nahi Roak Sako Gay
Sab Jantay To Hain
Lakin
Phir Bhi
Kyon Loog Muhabat Ko Roakna Chahtay Hain

1 comment:

Anonymous said...

Ahaan
this is the LOVE Poem
i like it
thanks for sharing