Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar
K Yeh Dard Kitna Ajeeb Hy
Na Sakon-E-Dil, Na Qarar-E- Jan
Na Hi Neend Mujh Ko Naseeb Hy
Yeh Ajab Hy Qissa-E-Zindgi
Wo Mila To Rah-E-Hayat Main
Mujhay Wo Nashat-O-Khusi Mili
K Sakon, Farhat-O-Itminan
Mari Dharknon Main Sama Gay
Wo Jo Dard Ankh Main Qaid Thay
Maray Aansuon Main Naha Gay
Mujhay Har Qadam Pe Guma Hua
K Badal Rahi Hain Haqeeqtain
K Bikhar Rahi Hain Musaftain
Per Us K Bad Yeh Kya Howa
Wo Gya To Cheen Key Ley Gya
Mara Chain, Sabr-O-Qarar B
Mary Rahtien, Mari Chahtein
Mari Zindgi Ki Bahar B
Mara Likhna Aur Mara Sochna
Mara Husn, Mara Nikhar B
Main Ny Hasna Khailna Chor Kar
Issi Ghum Ko Dil Sy Laga Liya
Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar
K Ajab Hain Ishq K Mamlay
Na Hi Mari Basat Hy Iss Qarar
K Main Us Ko Dil Sy Nikal Kar
Kisi Aur Dar Ka Gada Banon
Na Yeh Taray Bass Ki Hi Bat Hey
K Maray Dard Ki Tu Dava Kary
K Maray Dard Ka Jo Ilag Hy
Tari Puhach Tari Basat Sy
Tari Sooch Sy B Hy Mawra
To Kahan Sy Lao Gy Dhond Kar
Maray Chain, Sabr-O-Qarar Ko
Tujhay Keh Rhaa Hon Main Chara Gar
Maray Zakham Pe Yeh Dava Na Rakh
Maray Dard Ki Yeh Dava Nhi
Main Mareez-E-Ishq Hon Iss Lyy
Mara Theek Hona Mahal Hy
Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar……!!!
Friday, December 7, 2007
Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar
Posted by Sidra Maqsood at 1:40 PM
This Post is related to : PAKISTAN POETRY
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment