Friday, December 7, 2007

Ankhain

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De



Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

Aankhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan



Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sab Jaanti Hoon Magar Phir Bhi
Kyun Tumko Bhula Nahin Paati
Is Dil Se Teri Tasveer Hata Nahin Paati
Muskurane Ki Koshish Karti Hoon Lekin
Ankhon Ke Motiyon Ko Chupa Nahin Paati
Jab Sochti Hoon Ki
Tum Ho Kisi Aur Ka Muqaddar
Jalan Si Hoti Jise Mita Nahin Paati
Jab Barasta Hai Saawan Toot Ke Kahin
Yeh Aankhain Bhi Ek Dariya Bahati Hain
Sulagti Hai Rooh Teri Ek Jhalak Ko
Is Khwaaish Se Main Dil Ko Bacha Nahin Paati!!!



Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rahe Ho

Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho


Shaam Hote Hee Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Taarikiyo’n Ko Cheerkar, Ye Lau Jagmagaati Hai
Sehar Hote Hee Kyon, Shamma Dhal Jaati Hai
Aksar Tanha Raato Mein, Kyon Bebasi Jhalakti Hai
Kyon Din Khushi Manata Hai, Kyon Raat Udaas Hoti Ha
Ishaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain

Inn Waadiyo’n Mein Khudko, Mai Kyon Udaas Paati Hoon
Ye Surile Parinde Bhi, Kyon Udaas Geet Gaate Hain
Sehraa Mein Hoon Mai Tanha, Iss Neele Falak Ke Neeche
Ye Aasmaa’n Bhi Mujhpar, Kyon Bijliyaa’n Giraate Hain

Shaam Hote Hi Kyon, Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai, Kyon Ashk Dhal Jaate Hain


Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo Aankhein
Meri Aankhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon

No comments: