Thursday, January 31, 2008

Woh Khwab Khwab Si Aankhain Theen Baadalon Ki Safeer

Woh Khwab Khwab Si Aankhain Theen Baadalon Ki Safeer
Dhuaan Dhuaan Si Theen Sochon Main Janay Kab Se Aseer
Thay Us K Hoonton K Taalay Bhi Zang Aalooda
Usay Youn Daikh K Lagta Tha Jaisay Ik Bacha
Gaya Tha Daikhnay Maila Kisi Ka Thaam K Haath
Na Janay Bheer Main Tanha Woh Reh Gaya Kaisay
Mujhay Woh Phool Laga Ik Gulab Ka Jis Ko
Kisi Ne Shakh Se Tora Mager Nahi Songha
Khud Apnay Pairon K Neechay Masal Masal Daala
Sawal Us Se Kia Main Ne, Yeh Batao Zara
Ho Kon, Kis Liay Is Qadar Khamosh Ho Bhala?
Batao Khaar Ugaye Hain Kis Ne Raahon Main?
Nami Khafi Se Hai Kaisi Tumhari Aankhon Main
Meri Tarah Se Kaheen Tum Bhi Tu Nahi Tanha?
Rah-E-Wafa Main Mili Tu Nahi Tumhain Bhi Dagha?
Woh Chup Raha, Nahi Bola Tu Main Ne Berh K Usay
Chuwa Tu Yeh Howa Idraak Meray Saamnay Tu
Hai Aik Aayeena Aur Us Main Aks Hai Mera

No comments: