maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
na jhukaao tum nigaaheN kahiiN raat Dhal na jaaye
abhii raat kuch hai baaqii, na uThaa naqaab saaqii
tiraa rind girte girte, kahiiN phir saNbhal na jaaye
mirii zindagii ke maalik, mire dil pe haath raKhna
tire aane kii khushii meiN miraa dam nikal na jaaye
mire ashk bhii haiN is meN ye sharaab ubal na jaaye
miraa jaam chhuune vaale tiraa haath jal na jaaye
maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiiN saath aashiyaaN ke ye chaman bhii jal na jaaye
mujhe phuuNkne se pehle, miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat, mire saath jal na jaaye
(
Anwar Mirzapuri
Friday, January 18, 2008
maiN nazar se pii raha huuN ye samaaN badal na jaaye
Posted by Sidra Maqsood at 4:31 AM
This Post is related to : URDU POETRY
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment