ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuu.N har chiiz muqaabil aa jaaye
manzil ke liye do gaam chaluuN aur saamne manzil aa jaaye
kashtii ko Khuda per chhoR bhi de, kashtii ka Khudaa Khuda haafiz hai
mushkil to nahiiN in maujoN meiN bahtaa huvaa saahil aa jaaye
ai dil kii lagii chal yuN hii sahii, chalataa to huN unkii mahfil meiN
us vaqt mujhe chauNkaa denaa jab rang pe mahfil aa jaaye
ai raaHbar-e-kaamil chalane ko tayyaar to huN par yaad rahe
us vaqt mujhe bhaTkaa denaa jab saamne manzil aa jaaye
haaN yaad mujhe tum kar lenaa aavaaz mujhe tum de lenaa
is raah-e-muhabbat meiN ko’ii darpaish jo mushkil aa jaaye
ab kyuN DhuuNDhuuN vo chashm-e-karam hone de sitam balaa-e-sitam
maiN chaaHtaa huN ai jazbaa-e-Gham mushkil pas-e-mushkil aa jaaye
is jazba-e-dil ke baare meiN ek mashvaraa tum se letaa huN
us vaqt mujhe kyaa laazim hai jab tujh pe meraa dil aa jaaye
ai barq-e-tajallii kyaa tuune mujhko bhii Muusaa samjhaa hai
maiN tuur nahiiN jo jal jaauuN jo chaahe muqaabil aa jaaye
Behzad Lucknawi
Friday, January 18, 2008
ai jazbaa-e-dil gar mai.n chaahuu.N har chiiz muqaabil aa jaaye
Posted by Sidra Maqsood at 4:29 AM
This Post is related to : URDU POETRY
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment