husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye
husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye
ishq kii maGfirat kii du’aa keejiye
(mehr’baaN : generous; maGfirat : pardon, forgiveness)
is saliiqe se unse gilaa keejiye
jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
duusroN par agar tabsiraa keejiye
saamne aaiinaa rakh liyaa keejiye
(tabsiraa : criticism)
ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad
itnii jaldii na ye faislaa keejiye
(tark-e-talluq : breaking off)
ko’ii dhokhaa na khaa jaaye merii tarah
aise khul ke na sabse milaa keejiye
Khumar Barabankvi
Sunday, January 13, 2008
husn jab mehr’baaN ho to kyaa keejiye
Posted by Sidra Maqsood at 4:48 AM
This Post is related to : URDU GHAZALS, URDU POETRY
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment