Raaste Badal Jaate Hain, Manzilain Badal Jaati Hain
Raaste Badal Jaate Hain, Manzilain Badal Jaati Hain
Kyun Nahin Badalte Dil Jo Taqdeerain Badal Jaati Hain
Dil Wohi Rehta Hai, Yaadon Ki Anginat Karchaiyaan Le Ke
Aankhon Ki Nami Chupa Kar, Nazrain Badal Jaati Hain
Rooh Rehti Hai Har Lamha Ashkbaar, Lab Hanste Hain
Bahar Aur Andar Ki Kis Tarah Fizaain Badal Jaati Hain
Koi Hota Hai Rafta Rafta Zindagi Se Door, Bohot Door
Haathon Ki Yeh Lakeerain Kyun Aksar Badal Jaati Hain !!
Friday, February 1, 2008
Raaste Badal Jaate Hain, Manzilain Badal Jaati Hain
Posted by Sidra Maqsood at 11:11 PM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Really nice to read this poetry
Post a Comment