Anaa hai tum main bhi thori bahut batanay ussay
Anaa hai tum main bhi thori bahut batana ussay
Woh ab mille bhi tu mat haal e dil sunana Ussay
akele kiss se utha hai Taulqaat ka Boojh,
Woh tum ko yaad na rakhe tu bhool jana Ussay
Monday, February 11, 2008
Anaa hai tum main bhi thori bahut batanay ussay
Posted by Sidra Maqsood at 1:37 AM
This Post is related to : Dard bhari shairy
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
KHALISH
ajiib tarz-e-mulaaqaat ab ke bar rahii
tumhii.n the badale hue yaa merii nigaahe.n thii.n
tumhaarii nazaro.n se lagataa thaa jaise merii bajaaye
tumhaare ghar me.n ko_ii aur shaKhs aayaa hai
tumhaare ohade kii dene.n tumhen mubaarak
so tum ne meraa svaagat usii tarah se kiyaa
jo afasaraan-e-hukuumat ke aitaqaad me.n hai
takallufan mere nazadiik aa ke baiTh gaye
phir ehatamaam se mausam kaa zikr chhe.D diyaa
kuchh us ke baad siyaasat kii baat bhii nikalii
adab par bhii ko_ii do chaar tabasare faramaaye
magar na tum ne hameshaa kii tarah ye puuchhaa
kyaa vaqt kaisaa guzarataa hai teraa jaan-e-hayaat
pahaa.D din kii aziiyat me.n kitanii shiddat hai
ujaa.D raat kii tanhaa_ii kyaa qayaamat hai
shabo.n kii sust ravii kaa tujhe bhii shikavaa hai
Gam-e-firaaq ke qisse nishaat-e-vasl kaa zikr
ravaayatan hii sahii ko_ii baat to karate.
Post a Comment