Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi
Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi
Sham hote hi wo chaukhat pe chala kar shammaein
Apni palkon pe kaii khwaab sajaati hogi
Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Moharram ki tarah Eid manaati hogi
hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi
Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi
Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi
Tuesday, September 23, 2008
Urdu poem of Wasi Shah
Posted by Sidra Maqsood at 9:31 PM
This Post is related to : Humourous Urdu Poetry, URDU LOVE POETRY, wasi shah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment