Sunday, February 3, 2008

Khayal Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai

Khayal Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai

Khayal Ko Kisi Aahat Ki Aas Rehti Hai
Nigah Ko Kisi Surat Ki Pyas Rehti Hai
Tere Bina Kisi Chez Ki Kami To Nahi
Magar Tere Bina Zindagi Udas Rehti Hai

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se
Kabi Gulzar Se
Kabi Bayzar Se
Kabi Kushee Humaray Saat Saat
Kabi Ghammo Ke Barsat Se
Kabi Tufano May Bhi Hain Rastay
Kabi Manzelon Ka Pata Nai
Kabi Do Kadam Pay Hay Zindagi
Kabi Sadio Intazar Se
Kabi Har Kadam Pay Hay Imtahan
Kabi Bin Mangay Innam Hay
Kabi Kuch Nai Kabi Sub Kuch Se
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue
Soye Rahe Yeh Bojh Palkon Par Liye Hue
Raaste Mein Mujhko Be-Ghar Dekh Kar
Dost Aaye Hai Haath Mein Patthar Liye Hue

Aaj Uske Samne Jayenge Hum
Apne Hi Haathon Mein Apna Sir Liye Hue
Meri Aankh Umer Bhar Hasti Rahi
Ek Suhane Khwaab Ka Manzar Liye Hue

Log Aapas Mein Gale Milte Rahe
Aastinon Mein Chhupe Hue Khanzar Liye Hue
Gardishein To Ek Bahana Thi Magar
Khwaahishein Phirti Rahi Dar Dar Liye Hue

Teri Raah Takte Rahe Par Tu Nahi Aayie
Baithe Rahe Teri Mehfil Mein Khali Jaam Liye Hue
Dhalti Dikh Rahi Hai Zindagi Ki Ghadiyaan
Koi Aa Raha Hai Haathon Mein Maut Ka Paigham Liye Hue

Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo

Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo


Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo
Ya Zindagi Ka Faasla Mita Sakoo To Sath Doo

Baray Faraib Khaoo Gay Baray Sitam Uthaoo Gay
Ya Umer Bhur Ka Sath Hai Nibha Sakoo To Sath Doo

Jo Tum Kahoo To Ya Dil To Kia Main Jaan Bhi Fida Karoon
Jo Main Kahoon Bus Ik Nazar Luta Sakoo To Sath Doo

Hazaar Imtyhan , Hazaar Aazmaishain
Hazar Dukh Hazar Ghum Utha Sakoo To Sath Doo

Ya Zindagi Yahan Khushi Ghamoon K Sath Hai
Rula Sakoo To Sath Doo Hunsa Sakoo To Sath Doo

Pyaar Mein Meetha Dard Mila Ye Bahut Hai

Pyaar Mein Meetha Dard Mila Ye Bahut Hai

Pyaar Mein Meetha Dard Mila Ye Bahut Hai
Sapno Ko Nai Disha Mili Vo Bahut Hai
Pyaar Pura Hua Ya Adhura,Baat Ye Nahi
Pyaar Karne Ka Mauka Mila Woo Bahut Hai