Sunday, April 27, 2008

Tuesday, April 15, 2008

Keh Dena Har Bat Zuban Se Zarori To Nahi

Keh Dena Har Bat Zuban Se Zarori To Nahi
Umar Guzri Hai Aadhi Poori To Nahi
Dur Zaror Baithy Apki Nigahon Se
Par Dil Ki Dil Se Duri Ho Zarori To Nahi

Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai

Woh Iss ANDAZ Ki Muj Se MOHABBAT Chahta Hai
Mere Her KHUWAB Per Apni HOKUMAT Chahta Hai
Mere Her LAFZ Mein Jo MUJ Se Barh Ker Bolta Hai
Mere Her LAFZ Ki Muj Se WAZAHAT Chahta Hai
Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon
To Goya Wo Mujy Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai

Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
Aankhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Kaun Janey Kab Maut Ka Pegham Aa Jaye

Kaun Janey Kab Maut Ka Pegham Aa Jaye
Zindaghi Ki Akhri Shaam Aa Jaye
Hamein Tu Intezar Hai Us Waqt Ka
Jab Hamari Zindagi Aap Ke Kaam Aa Jaye!!

Apni Zindagi Tere Naam Kerdoon

Apni Zindagi Tere Naam Kerdoon
Apni Khushiyan Tere Liye Kurban Kerdoon
Chati Hoon K Tu Zinda Rahe
Bus Tere Maut Apne Naam Kerdoo

Phool Bankar Muskarna Zindagi Hai

Phool Bankar Muskarna Zindagi Hai
Muskura Ke Gum Bhulana Zindagi Hai
Mil Kar Khush Huye To Kya Hua
Bina Mile Rishte Nibhana Zindagi Hai

Toofan Mein Kashti Ko Kinare Bhi Milte Hein

Toofan Mein Kashti Ko Kinare Bhi Milte Hein
Jahaan Mein Logo Ko Sahare Bhi Milte Hein
Duniya Mein Sab Se Pyari Hai Zindagi
Kuch Log Zindagi Se Pyare Bhi Milte Hein

Rasta Badalna Hai

Rasta Badalna Hai
Patharon Peh Chalna Hai
Zindagi Key Rastay Per
Gir Gae, Sabbhalna Hai
Badalo! Hato Peechhay
Chand Ko Nikalna Hai
Phool Ko Mehekna Hai,
Lakdayon Ko Jalna Hai
Hum To Door Jain Gay
Kis Ko Sath Chalna Hai

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

Ya Zindagi Bari Ajeeb Se
Kabi Gulzar Se
Kabi Bayzar Se
Kabi Kushee Humaray Saat Saat
Kabi Ghammo Ke Barsat Se
Kabi Tufano May Bhi Hain Rastay
Kabi Manzelon Ka Pata Nai
Kabi Do Kadam Pay Hay Zindagi
Kabi Sadio Intazar Se
Kabi Har Kadam Pay Hay Imtahan
Kabi Bin Mangay Innam Hay
Kabi Kuch Nai Kabi Sub Kuch Se
Ya Zindagi Bari Ajeeb Se

Zindagi Ke Har Mor Par

Zindagi Ke Har Mor Par
Hum Ne Dhoka Kha Rakha Hai

Loog Samajhte Hain
Hum Ne Duniya Ko Hansa Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!
Keh Hum Ne
Apne Ghar Ke Aik Kamre Mein

Aik Choota Sa Apni Hasraton Ka
Qabristan Bana Rakha Hai

Mout Bhi Karti Hai Hum Se Be Wafaye
Aur Ghumon Ne Humein
Sanam Khana Bana Rakha Hai

Loogo Ki Nazro Mein Hum Ne
Apne Labon Par
Majmooa-E-Aashar Saja Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!!
Hum Ne Ghum Aur Dukhoo Ka
Naam Khushi Bana Rakha Hai

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara


Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue

Raat Aayi Dard Ki Chaadar Liye Hue
Soye Rahe Yeh Bojh Palkon Par Liye Hue
Raaste Mein Mujhko Be-Ghar Dekh Kar
Dost Aaye Hai Haath Mein Patthar Liye Hue

Aaj Uske Samne Jayenge Hum
Apne Hi Haathon Mein Apna Sir Liye Hue
Meri Aankh Umer Bhar Hasti Rahi
Ek Suhane Khwaab Ka Manzar Liye Hue

Log Aapas Mein Gale Milte Rahe
Aastinon Mein Chhupe Hue Khanzar Liye Hue
Gardishein To Ek Bahana Thi Magar
Khwaahishein Phirti Rahi Dar Dar Liye Hue

Teri Raah Takte Rahe Par Tu Nahi Aayie
Baithe Rahe Teri Mehfil Mein Khali Jaam Liye Hue
Dhalti Dikh Rahi Hai Zindagi Ki Ghadiyaan
Koi Aa Raha Hai Haathon Mein Maut Ka Paigham Liye Hue

Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo

Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo

Bara Kathin Hai Rasta Jo Aasakoo To Sath Doo
Ya Zindagi Ka Faasla Mita Sakoo To Sath Doo

Baray Faraib Khaoo Gay Baray Sitam Uthaoo Gay
Ya Umer Bhur Ka Sath Hai Nibha Sakoo To Sath Doo

Jo Tum Kahoo To Ya Dil To Kia Main Jaan Bhi Fida Karoon
Jo Main Kahoon Bus Ik Nazar Luta Sakoo To Sath Doo

Hazaar Imtyhan , Hazaar Aazmaishain
Hazar Dukh Hazar Ghum Utha Sakoo To Sath Doo

Ya Zindagi Yahan Khushi Ghamoon K Sath Hai
Rula Sakoo To Sath Doo Hunsa Sakoo To Sath Doo

Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya

Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya

Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya

Har Bar Apki Salamti Ki Dua Karege

Har Bar Apki Salamti Ki Dua Karege

Har Bar Apki Salamti Ki Dua Karege
Teri Arzu Me Apni Hasti Fanah Karege
Tum Chahe Daman Bachalo Humse Lekin
Hum Marte Dum Tak Apse Wafa Karegay

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai
Ishq Nahi Kya To Kar Ke Dekho
Zalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai

Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain

Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain

Dosti Ka Haq Hum Youn Ada Kartay Hain
Dost Ke Naam Per Jan Fida Kartay Hain
Tumhey Phool Ka Zakham Bhi Na Anay Pae
Allah Say Roz Yeh Dua Kartay Hain

hum be-saharoon ko Khuda kar de,
bus ek shaks agar humhain haan kar de
kahay tu jaan de doon ussay

Friday, April 11, 2008

Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho

Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !

Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !
Aai jaan-e-jahaa(n) ! ye koi tum sa hai k tum ho !

Ye khwaab hai, khushbu hai k jhaunka hai k pal hai
Ye dhund hai, baadal hai k saaya hai k tum ho !

Is deed ki saa'at mein kaee rang hain larzaa(n)
Main hoon k koi aur hai, duniya hai k tum ho !

Dekho ye kisi aur ki aankhein hain k meri !
Dekhoon ye kisi aur ka chehra hai k tum ho !

Ye umr-e-gurezaa(n) kahin tthehre to ye jaanoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai k tum ho !

Har bazm mein mauzu-e-sukhan, dil-zadgaa(n) ka
Ab kaun hai, Sheereen hai k Laila hai k tum ho !

Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !

Wo waqt na aaye k dil-e-zaar bhi soche
Is shehr mein tanha koi ham sa hai k tum ho !

Aabaad ham aashufta-saron se nahi maqtal
Ye rasm bhi is shehr mein zinda hai k tum ho

Aai jaan-e-Faraaz ! itni bhi taufeeq kise thi
Ham ko gham-e-hasti bhi gavaara hai k tum ho !
_________________

kaon aata hai magar aas lagaye rakhana

kaon aata hai magar aas lagaye rakhana


kaon aata hai magar aas lagaye rakhana
umrr bhar dard ki shammaon ko jalaye rakhan

dost pursish pe musir aor hamara sheva
apne ahawal ko khud se chhupaye rakhana

humko us nam ne mara ki jahan bhi jayen
khalkte-shahar ne toofan uthaye rakhana

is chakachondh men aankhen bhi ganva baithoge
uske hote hue palkon ko jhukaye rakhana

us ne kahaa sun

us ne kahaa sun

us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hai.n
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aa.Nkho.n me.n Duubo
jis dil me.n bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uu.Nchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aana

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Ata Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Ata Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Ata Hai
ke jaise tujh ko banaya gaya hai mere liye
ke jaise tujh ko banaya gaya hai mere liye
tu ab se pehle sitaro mei bas rahi the kahi
tu ab se pehle sitaro mei bas rahi the kahi
tujhe zamee pe bulaya gaya hai mere liye
tujhe zamee pe bulaya gaya hai mere liye
Kabhi Kabhi Mere Dil Mei Khayal Ata Hai
ke ye badan ye nigahein meri amanat hai
ke ye badan ye nigahein meri amanat hai
ye gasuo ki ghani chao hai meri khatir
ye hoth aur ye bahe meri amanat hai
ye hoth aur ye bahe meri amanat hai
Kabhi Kabhi Mere Dil Mei khayal Ata Hai
ke jaise bajhti hai shehnaya se raho mein
ke jaise bajhti hai shehnaya se raho mein
Suhag raat hai ghunghat utha raha hu mein
Suhag raat hai ghunghat utha raha hu mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baho mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baho mein
Kabhi Kabhi Mere Dil Mei Khayal Ata Hai
ke jaise tuu mujhe chahe ge umrr bhar yuhi
uthe ge meri taraf pyaar ki nazar yuhi
Mein janta hu ke tu ghair hai magar yuhi
Mein janta hu ke tu ghari hai magar yuhi
KABHI KABHI MERE DIL MEIN KHAYAL ATA HAI
KABHI KABHI MERE DIL MEIN KHAYAL ATA HAI