Friday, March 7, 2008

aa bhii jaao kii zindagii kam hai

aa bhii jaao kii zindagii kam hai 

aa bhi jao keh zindagii kam hai
tum nahin ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahin
shahar mein aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhup ziyadaa hai chandani kam hai

aina dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un ki dosti kam hai

tere dam se hi main mukammal huN
bin tere teri 'Yamini' kam hai

By Yamini Das

Saturday, March 1, 2008

Zikr-e-shab-e-feeraaq se wehshat usse bhi thi,

Meri tarah kisi se mohabbat usse bhi thi.
Mujh ko bhi shauq tha naye chehron ke deed ka,
Raastya badal ke chalne ki aadat usse bhi thi.
Sunata tha wo bhi sab ko puraani kahaniyan,
Taza rafaqaton ki zaroorat usse bhi thi.
Mujh se bichhad ke shehar mein ghul mil gaya wo shaks,
Halaan ke shehar bhar se raqaabat usse bhi thi.
Wo mujhse badh ke zabt ka aadi tha,jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat usse bhi thi.
Aaye dil na jaan khud ko nakaam ke bad-zauq,
Wo mana nahi par mujhse mohabbat usse bhi thi